Friday, July 4, 2008

Darti hoo mein

Hey friends, this is my little attempt to write a "Kavita". Let me know if this falls in any type of "chhand" or any meter by any chance ;)

Darti hoo mein

Darti hoo zindagi se mein,
darti hoon apne aap se.

Pagal hoon mein,
kya jaanti nahi hoo mein?
Tab bhi kyon
ab bhi mein
pagalaane se darti hoo mein?

Darti hoo zindagi se mein,
darti hoon apne aap se.

Kuchh nahi paoongi mein,
kya jaanti nahi hoo mein?
Tab bhi kyon
ab bhi mein
kis aas pe baithi hoo mein?

Darti hoo zindagi se mein,
darti hoon apne aap se.

Bhatak jaoongi inhi andheron me,
kya jaanti nahi hoo mein?
Tab bhi kyon
ab bhi mein
nasamajhi pe dati hoo mein?

Darti hoo zindagi se mein,
darti hoon apne aap se.

Har din, har ek pal yunhi,
khud hi se ladti hoon mein.
Bhugatne do, bhugatne do,
sazaa bhugat rahi hoo mein.

Darti hoo zindagi se mein,
darti hoon apne aap se.

Darti hoo mein, darti hoo mein,
haan bahut darti hoo mein.
Tab bhi kyon
ab bhi mein,
dil ki suna karti hoo mein?

Darti hoo zindagi se mein,
darti hoon apne aap se.(2)